mohabbat ka koi to paiman hota
mohabbat kā koī to paimān hotā
ki jin pe hameñ bhī bahut maan hotā
kabhī itne arzāñ na hote jahāñ meñ
hameñ zindagī kā jo irfān hotā
tujhe kaash rakhte tasavvur meñ apne
ki in ke bahalne kā sāmān hotā
rah-e-zindagī meñ kabhī na kabhī to
tujhe DhūñD lete jo imkān hotā
kisī se ta.alluq banāte na itnā
kisī se na milne kā armān hotā
agar apnī miTTī pe 'yāsīn' rahte
kahāñ hijratoñ kā ye tūfān hotā
mohabbat ka koi to paiman hota
ki jin pe hamein bhi bahut man hota
kabhi itne arzan na hote jahan mein
hamein zindagi ka jo irfan hota
tujhe kash rakhte tasawwur mein apne
ki in ke bahalne ka saman hota
rah-e-zindagi mein kabhi na kabhi to
tujhe DhunD lete jo imkan hota
kisi se talluq banate na itna
kisi se na milne ka arman hota
agar apni miTTi pe 'yasin' rahte
kahan hijraton ka ye tufan hota
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 474)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.