mohabbat ka meri mausam suhana hote hote bhi
mohabbat kā mirī mausam suhānā hote hote bhī
vo mujh ko chhoḌ hī baiThā divānā hote hote bhī
ye sochā thā kī ye pal bhī guzar hī jā.egā lekin
bahut dukh de gayā ye pal purānā hote hote bhī
vo kahtā thā ki aa.egā zamāna apne milne kā
zamāna ho gayā yaaro zamāna hote hote bhī
mire dushman kī saf meñ hai mirā 'āshiq ise dekho
ye bach hī jā.egā merā nishāna hote hote bhī
mohabbat ka meri mausam suhana hote hote bhi
wo mujh ko chhoD hi baiTha diwana hote hote bhi
ye socha tha ki ye pal bhi guzar hi jaega lekin
bahut dukh de gaya ye pal purana hote hote bhi
wo kahta tha ki aaega zamana apne milne ka
zamana ho gaya yaro zamana hote hote bhi
mere dushman ki saf mein hai mera 'ashiq ise dekho
ye bach hi jaega mera nishana hote hote bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.