mohabbat ka miyan apna alag dastur hota hai
mohabbat ka miyan apna alag dastur hota hai
Taj Muhammad Siddiqui
MORE BYTaj Muhammad Siddiqui
mohabbat kā miyāñ apnā alag dastūr hotā hai
yahāñ mā'shūq kā har faisla manzūr hotā hai
pilātā hai tū kyoñ pīr-e-muġhāñ ham ko surāhī se
tū dekhe gar nazar-bhar ke to dil maḳhmūr hotā hai
bhale kāmoñ se kal tak aadmī mash.hūr hotā thā
bure kāmoñ se insāñ āj-kal mash.hūr hotā hai
yahī sab dekhte sunte za'īfī aa ga.ī mujh par
hukūmat meñ jo hotā hai bahut maġhrūr hotā hai
jise dekho uThā.e phir rahā hai laash ḳhud apnī
yahāñ har aadmī paidā.eshī mazdūr hotā hai
suno ai 'tāj' insāñ chāhe jitnī koshisheñ kar le
vahī hotā hai jo rab ko mire manzūr hotā hai
mohabbat ka miyan apna alag dastur hota hai
yahan ma'shuq ka har faisla manzur hota hai
pilata hai tu kyon pir-e-mughan hum ko surahi se
tu dekhe gar nazar-bhar ke to dil maKHmur hota hai
bhale kaamon se kal tak aadmi mashhur hota tha
bure kaamon se insan aaj-kal mashhur hota hai
yahi sab dekhte sunte za'ifi aa gai mujh par
hukumat mein jo hota hai bahut maghrur hota hai
jise dekho uThae phir raha hai lash KHud apni
yahan har aadmi paidaeshi mazdur hota hai
suno ai 'taj' insan chahe jitni koshishen kar le
wahi hota hai jo rab ko mere manzur hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.