mohabbat ka safar he aur main hun
mohabbat kā safar he aur maiñ huuñ
vo manzūr-e-nazar hai aur maiñ huuñ
parinda be-ruḳhī kā uḌ rahā hai
vafā kā ik shajar hai aur maiñ huuñ
qafas meñ le chalā sayyād mujh ko
ḳhayāl-e-bāl-o-par hai aur maiñ huuñ
safar āsān kitnā ho gayā hai
vo merā ham-safar hai aur maiñ huuñ
vahī āñgan vahī mehrāb-o-mimbar
vahī dīvār-o-dar hai aur maiñ huuñ
ab un kā ġham bhī apnā ġham hai 'rizvān'
udhar kā haal idhar hai aur maiñ huuñ
mohabbat ka safar he aur main hun
wo manzur-e-nazar hai aur main hun
parinda be-ruKHi ka uD raha hai
wafa ka ek shajar hai aur main hun
qafas mein le chala sayyaad mujh ko
KHayal-e-baal-o-par hai aur main hun
safar aasan kitna ho gaya hai
wo mera ham-safar hai aur main hun
wahi aangan wahi mehrab-o-mimbar
wahi diwar-o-dar hai aur main hun
ab un ka gham bhi apna gham hai 'rizwan'
udhar ka haal idhar hai aur main hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.