mohabbat ka taqaza hai ghamon se chur ho jaana
mohabbat kā taqāzā hai ġhamoñ se chuur ho jaanā
kabhī hañsnā kabhī ronā kabhī majbūr ho jaanā
tumhārī kaj-adā.ī ne bhī mujh se khel khelā hai
mirā badnām ho jaanā tirā mash.hūr ho jaanā
hamāre dil kā afsāna jahāñ tak yaad aatā hai
faqat pahlī nazar meñ gir ke nā-manzūr ho jaanā
mirī piine kī aadat bhī ajab se gul khilātī hai
jahāñ dekhī hasīñ āñkheñ vahīñ maḳhmūr ho jaanā
zamāna bhar to patthar hai faqat haiñ ābgīne ham
zarā sī Thes kyā pahuñchī ki chaknā-chūr ho jaanā
kabhī jo aa.ina dekhā vahīñ sharmā ga.e ḳhud se
unheñ aatā hai kaise husn se maġhrūr ho jaanā
kamāl un kī tabī.at hai kabhī bigḌe kabhī sañvre
kareñ jo lab-kushā.ī bhī vahī dastūr ho jaanā
hamārī hālat-e-dil kā bharosa bhī nahīñ 'barham'
jahāñ manzil nazar aa.e vahāñ se duur ho jaanā
mohabbat ka taqaza hai ghamon se chur ho jaana
kabhi hansna kabhi rona kabhi majbur ho jaana
tumhaari kaj-adai ne bhi mujh se khel khela hai
mera badnam ho jaana tera mashhur ho jaana
hamare dil ka afsana jahan tak yaad aata hai
faqat pahli nazar mein gir ke na-manzur ho jaana
meri pine ki aadat bhi ajab se gul khilati hai
jahan dekhi hasin aankhen wahin maKHmur ho jaana
zamana bhar to patthar hai faqat hain aabgine hum
zara si Thes kya pahunchi ki chakna-chur ho jaana
kabhi jo aaina dekha wahin sharma gae KHud se
unhen aata hai kaise husn se maghrur ho jaana
kamal un ki tabiat hai kabhi bigDe kabhi sanwre
karen jo lab-kushai bhi wahi dastur ho jaana
hamari haalat-e-dil ka bharosa bhi nahin 'barham'
jahan manzil nazar aae wahan se dur ho jaana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.