mohabbat ka tujhe irfan bhi hai
Interesting Fact
(14th August, 1956)
mohabbat kā tujhe irfān bhī hai
mohabbat kufr bhī īmān bhī hai
tazād-e-hazrat-e-insāñ na pūchho
farishta bhī hai ye shaitān bhī hai
yahī sābit huā hai zindagī se
jo daanā hai vahī nādān bhī hai
bahut be-rabt hai rūdād-e-hastī
is afsāne kā kuchh unvān bhī hai
isī kā zindagī hai naam shāyad
kuchh uljhan bhī kuchh itmīnān bhī hai
na khā maujoñ kī ḳhāmoshī se dhokā
isī parde meñ ik tūfān bhī hai
nikāleñ kis tarah hasrat ko dil se
musāfir bhī hai ye mehmān bhī hai
ye jiinā haañ ye jiinā haañ ye jiinā
bahut mushkil bahut āsān bhī hai
ḳhudā lagtī kabhī to baat kah de
tirā kuchh diin kuchh īmān bhī hai
navāzish sī navāzish ho rahī hai
karam bhī aap kā ehsān bhī hai
suḳhan par aap nāzāñ to haiñ 'tālib'
suḳhan meñ aap ke kuchh jaan bhī hai
ye hindū ye musalmāñ ye masīhī
magar in meñ koī insān bhī hai
mohabbat ka tujhe irfan bhi hai
mohabbat kufr bhi iman bhi hai
tazad-e-hazrat-e-insan na puchho
farishta bhi hai ye shaitan bhi hai
yahi sabit hua hai zindagi se
jo dana hai wahi nadan bhi hai
bahut be-rabt hai rudad-e-hasti
is afsane ka kuchh unwan bhi hai
isi ka zindagi hai nam shayad
kuchh uljhan bhi kuchh itminan bhi hai
na kha maujon ki KHamoshi se dhoka
isi parde mein ek tufan bhi hai
nikalen kis tarah hasrat ko dil se
musafir bhi hai ye mehman bhi hai
ye jina han ye jina han ye jina
bahut mushkil bahut aasan bhi hai
KHuda lagti kabhi to baat kah de
tera kuchh din kuchh iman bhi hai
nawazish si nawazish ho rahi hai
karam bhi aap ka ehsan bhi hai
suKHan par aap nazan to hain 'talib'
suKHan mein aap ke kuchh jaan bhi hai
ye hindu ye musalman ye masihi
magar in mein koi insan bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.