mohabbat ka ye afsana hayat-e-muKHtasar ka hai
mohabbat kā ye afsāna hayāt-e-muḳhtasar kā hai
hañsī thoḌe dinoñ kī hai to ronā umr bhar kā hai
adab kā paas hai ehsās bhī ilm-o-hunar kā hai
ye sab sarmāya mere paas sohbat ke asar kā hai
ba-zāhir to haqīqat ek musht-e-ḳhāk hai lekin
farishtoñ se maqām ūñchā bashar ibn-e-bashar kā hai
vo kaT jā.egā ḳham hogā na ġhairullāh ke aage
maqām itnā rafī-ul-martaba momin ke sar kā hai
ḳhudā kā shukr maiñ us rahnumā ke kārvāñ meñ huuñ
har-ik zarra mah-o-ḳhurshīd jis kī rah-guzar kā hai
hue āzād yuuñ to ho ga.ī aadhī sadī lekin
vahī ham haiñ qafas hai aur mātam bāl-o-par kā hai
maiñ 'anvar' zarf-e-insāñ ek pal meñ naap letā huuñ
zahe-qismat mujhe hāsil vo paimāna nazar kā hai
mohabbat ka ye afsana hayat-e-muKHtasar ka hai
hansi thoDe dinon ki hai to rona umr bhar ka hai
adab ka pas hai ehsas bhi ilm-o-hunar ka hai
ye sab sarmaya mere pas sohbat ke asar ka hai
ba-zahir to haqiqat ek musht-e-KHak hai lekin
farishton se maqam uncha bashar ibn-e-bashar ka hai
wo kaT jaega KHam hoga na ghairullah ke aage
maqam itna rafi-ul-martaba momin ke sar ka hai
KHuda ka shukr main us rahnuma ke karwan mein hun
har-ik zarra mah-o-KHurshid jis ki rah-guzar ka hai
hue aazad yun to ho gai aadhi sadi lekin
wahi hum hain qafas hai aur matam baal-o-par ka hai
main 'anwar' zarf-e-insan ek pal mein nap leta hun
zahe-qismat mujhe hasil wo paimana nazar ka hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.