mohabbat karne walon ki dil-azari nahin karte
mohabbat karne vāloñ kī dil-āzārī nahīñ karte
ḳhatā par sar jhukāne vaale makkārī nahīñ karte
ham apnā āsmān-e-fan ḳhud apne saath rakhte haiñ
kisī kī sham.a se ghar meñ ziyā-bārī nahīñ karte
hameñ paanī pe chalne kā hunar ma.alūm hai lekin
kisī hālat meñ ham koī adākārī nahīñ karte
rivāyat tāzgī-e-fikr se mahrūm rah jaatī
agar ham 'mīr'-o-'ġhālib' kī taraf-dārī nahīñ karte
hamāre aslaha-ḳhānoñ meñ aksar aag lagtī hai
magar ham kaam koī ġhair-sarkārī nahīñ karte
janāza uTh gayā jab se yahāñ īmān-dārī kā
ham apne rahbaroñ kī nāz-bardārī nahīñ karte
vo registāñ ko dāvat de ke apne ghar bulāte haiñ
kabhī jo apnī bastī meñ shajar-kārī nahīñ karte
mohabbat karne walon ki dil-azari nahin karte
KHata par sar jhukane wale makkari nahin karte
hum apna aasman-e-fan KHud apne sath rakhte hain
kisi ki shama se ghar mein ziya-bari nahin karte
hamein pani pe chalne ka hunar malum hai lekin
kisi haalat mein hum koi adakari nahin karte
riwayat tazgi-e-fikr se mahrum rah jati
agar hum 'mir'-o-'ghaalib' ki taraf-dari nahin karte
hamare aslaha-KHanon mein aksar aag lagti hai
magar hum kaam koi ghair-sarkari nahin karte
janaza uTh gaya jab se yahan iman-dari ka
hum apne rahbaron ki naz-bardari nahin karte
wo registan ko dawat de ke apne ghar bulate hain
kabhi jo apni basti mein shajar-kari nahin karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.