mohabbat karne walon ko mohabbat aazmati hai
mohabbat karne vāloñ ko mohabbat āzmātī hai
kisī kī aan jaatī hai kisī kī jaan jaatī hai
taḳhayyul kī gul-afshānī ġhazal kā naam paatī hai
kisī kī yaad se zaḳhmoñ kī duniyā muskurātī hai
vufūr-e-ġham se sham-e-zindagānī thartharātī hai
mohabbat kī har ik dhaḌkan vafā ko āzmātī hai
kisī ke āriz-o-lab kī milī hai raushnī jab se
bahār-e-zindagī rangīniyoñ meñ Duub jaatī hai
mire baazū pe zulfoñ kī bharī barsāt hotī thī
vo saa.at yaad aatī hai vo saa.at yaad aatī hai
vo rang-o-nūr kī mahfil bahāroñ kī vo ra.anā.ī
mohabbat ke vafā-parvar fasānoñ ko sunātī hai
kisī kī yaad meñ gum ho ga.ī hai raushnī dil kī
jo gāhe-gāhe rāh-e-ashk-e-ġham ko jagmagātī hai
tumhārī zulf kā saaya jo mil jaa.e to ruk jā.ūñ
thakā-māñda huā huuñ dhuup ġham kī chilchilātī hai
'zamīr' anjām-e-ulfat par laraz jaatā hai dil aksar
hañsī aatī hai jis dam aañkh merī DabDabātī hai
mohabbat karne walon ko mohabbat aazmati hai
kisi ki aan jati hai kisi ki jaan jati hai
taKHayyul ki gul-afshani ghazal ka nam pati hai
kisi ki yaad se zaKHmon ki duniya muskuraati hai
wufur-e-gham se sham-e-zindagani thartharaati hai
mohabbat ki har ek dhaDkan wafa ko aazmati hai
kisi ke aariz-o-lab ki mili hai raushni jab se
bahaar-e-zindagi ranginiyon mein Dub jati hai
mere bazu pe zulfon ki bhari barsat hoti thi
wo saat yaad aati hai wo saat yaad aati hai
wo rang-o-nur ki mahfil bahaaron ki wo ranai
mohabbat ke wafa-parwar fasanon ko sunati hai
kisi ki yaad mein gum ho gai hai raushni dil ki
jo gahe-gahe rah-e-ashk-e-gham ko jagmagati hai
tumhaari zulf ka saya jo mil jae to ruk jaun
thaka-manda hua hun dhup gham ki chilchilati hai
'zamir' anjam-e-ulfat par laraz jata hai dil aksar
hansi aati hai jis dam aankh meri DabDabaati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.