mohabbat kashmakash mein rah gai sirr-e-nihan ban kar
mohabbat kashmakash mein rah gai sirr-e-nihan ban kar
Jurm Mohammadabadi
MORE BYJurm Mohammadabadi
mohabbat kashmakash meñ rah ga.ī sirr-e-nihāñ ban kar
mire dil kā yaqīñ ho kar tire dil kā gumāñ ban kar
kare shukr-e-mohabbat merā har rūyāñ zabāñ ban kar
agar tum biich meñ aa jaao shart-e-imtihāñ ban kar
ye kis kī raah par sar de rahe haiñ mohsin-e-ulfat
ajal ḳhidmat ko aa.ī hai hayāt-e-jāvedāñ ban kar
jhaTaktā jā.egā un ko zamāna apne dāman se
jo kuchh bhī rah ga.e pīchhe ġhubār-e-kārvāñ ban kar
zamāne kī havā kā ruḳh badal jaanā muqaddar hai
yahī tinke qafas hoñge bisāt-e-āshiyāñ ban kar
na ho jab Thokareñ khāne pe bhī ehsās-e-bedārī
na TūTeñ dil pe kyoñ nākāmiyāñ barq-e-tapāñ ban kar
nahīñ jab naqsh-e-avval kī tarah rañg-e-baqā tujh meñ
zarūrat kyā hai rahne kī nishāna le nishāñ ban kar
fazā pur-kaif ban kar chhā ga.ī ġhunchoñ kī ra.anā.ī
chaman meñ kaun aatā hai bahār be-ḳhizāñ ban kar
zamīñ kī tarah jab hāsil hai qudrat burdbārī kī
rahūñ ai 'jurm' kyoñ gardish meñ nāhaq āsmāñ ban kar
mohabbat kashmakash mein rah gai sirr-e-nihan ban kar
mere dil ka yaqin ho kar tere dil ka guman ban kar
kare shukr-e-mohabbat mera har ruyan zaban ban kar
agar tum bich mein aa jao shart-e-imtihan ban kar
ye kis ki rah par sar de rahe hain mohsin-e-ulfat
ajal KHidmat ko aai hai hayat-e-jawedan ban kar
jhaTakta jaega un ko zamana apne daman se
jo kuchh bhi rah gae pichhe ghubar-e-karwan ban kar
zamane ki hawa ka ruKH badal jaana muqaddar hai
yahi tinke qafas honge bisat-e-ashiyan ban kar
na ho jab Thokaren khane pe bhi ehsas-e-bedari
na TuTen dil pe kyon nakaamiyan barq-e-tapan ban kar
nahin jab naqsh-e-awwal ki tarah rang-e-baqa tujh mein
zarurat kya hai rahne ki nishana le nishan ban kar
faza pur-kaif ban kar chha gai ghunchon ki ranai
chaman mein kaun aata hai bahaar be-KHizan ban kar
zamin ki tarah jab hasil hai qudrat burdbari ki
rahun ai 'jurm' kyon gardish mein nahaq aasman ban kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.