mohabbat ke jo pairokar honge
mohabbat ke jo pairokār hoñge
hamāre jaise bas do chaar hoñge
havā paanī parinde peḌ paude
kahānī ke na.e kirdār hoñge
hameñ aatī kahāñ hai chāplūsī
bhalā ham sāhab-e-dastār hoñge
na.e kuchh falsafī paidā hue haiñ
purāne falsafe mismār hoñge
nahīñ hai koī jis ke aage pīchhe
bahut se us ke da.avedār hoñge
ab atom-bam nahīñ kiiḌe makoḌe
hamārī jang ke hathiyār hoñge
'nafīs' apne muqaddar meñ likhā thā
kisī din rāñda-e-darbār hoñge
mohabbat ke jo pairokar honge
hamare jaise bas do chaar honge
hawa pani parinde peD paude
kahani ke nae kirdar honge
hamein aati kahan hai chaplusi
bhala hum sahab-e-dastar honge
nae kuchh falsafi paida hue hain
purane falsafe mismar honge
nahin hai koi jis ke aage pichhe
bahut se us ke dawedar honge
ab atom-bam nahin kiDe makoDe
hamari jang ke hathiyar honge
'nafis' apne muqaddar mein likha tha
kisi din randa-e-darbar honge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.