mohabbat ke rangin mausam na badle
mohabbat ke rangīn mausam na badle
zamāna to badlā magar ham na badle
hasīñ hai bahut silsila shām-e-ġham kā
agar aap kī zulf-e-barham na badle
hai dilkash bahut misl-e-gesū-e-jānāñ
ḳhudāyā ye kaifiyyat-e-ġham na badle
ye shoḳh āñkheñ har samt chehroñ kī jannat
duā kījiye ab ye aalam na badle
mahaktī raheñgī sitāroñ kī fasleñ
agar mausam-e-chashm-e-pur-nam na badle
ḳhirad ne diye kitne paiġhām lekin
kisī tarah bhī ibn-e-ādam na badle
nikhartī rahī gardish-e-vaqt paiham
hasīnoñ ke gesu-e-pur-ḳham na badle
ġhazal yuuñ hī 'shabbīr' kahtā rahūñ maiñ
mirī sher-goī kā aalam na badle
mohabbat ke rangin mausam na badle
zamana to badla magar hum na badle
hasin hai bahut silsila sham-e-gham ka
agar aap ki zulf-e-barham na badle
hai dilkash bahut misl-e-gesu-e-jaanan
KHudaya ye kaifiyyat-e-gham na badle
ye shoKH aankhen har samt chehron ki jannat
dua kijiye ab ye aalam na badle
mahakti rahengi sitaron ki faslen
agar mausam-e-chashm-e-pur-nam na badle
KHirad ne diye kitne paigham lekin
kisi tarah bhi ibn-e-adam na badle
nikharti rahi gardish-e-waqt paiham
hasinon ke gesu-e-pur-KHam na badle
ghazal yun hi 'shabbir' kahta rahun main
meri sher-goi ka aalam na badle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.