mohabbat ke ruKH-e-raushan se nurani nahin jati
mohabbat ke ruḳh-e-raushan se nūrānī nahīñ jaatī
kisī chashm-e-basīrat se bhī tābānī nahīñ jaatī
rahā ho qurb-e-shāhāñ meñ satā.ish ke liye be-shak
magar patthar ke but se sift-e-sultānī nahīñ jaatī
kisī mushkil se mushkil kā nipaTnā sahl hai lekin
kisī sūrat bhī āsānī se āsānī nahīñ jaatī
judā.ī meñ to ho jaatī hai kashtī aañkh kī putlī
jo aa jaatī hai āñkhoñ meñ vo tuġhyānī nahīñ jaatī
ḳhirad ne laakh samjhāyā ki mujh se dostī kar le
dil-e-nādāñ kī phir bhī tarz-e-nādānī nahīñ jaatī
mirī hasrat bhī ik parda-nashīñ ḳhātūn hai sāhab
kahīñ be-parda merī rāt-kī-rānī nahīñ jaatī
vajah is kī batātā hī nahīñ hai aa.ina apnā
ki kyuuñ ham se hamārī shakl pahchānī nahīñ jaatī
bahār aatī hai sahrā meñ to aurat ke tabassum se
tabassum ke binā to ghar kī vīrānī nahīñ jaatī
likhā hai us kī qismat meñ sadā bechain rahnā hī
mohabbat meñ to is dil kī pareshānī nahīñ jaatī
dil-e-āshiq yā zulf-e-nāznīñ donoñ raheñ barham
kisī 'panchhī' se rakkhī un kī nigarānī nahīñ jaatī
mohabbat ke ruKH-e-raushan se nurani nahin jati
kisi chashm-e-basirat se bhi tabani nahin jati
raha ho qurb-e-shahan mein sataish ke liye be-shak
magar patthar ke but se sift-e-sultani nahin jati
kisi mushkil se mushkil ka nipaTna sahl hai lekin
kisi surat bhi aasani se aasani nahin jati
judai mein to ho jati hai kashti aankh ki putli
jo aa jati hai aankhon mein wo tughyani nahin jati
KHirad ne lakh samjhaya ki mujh se dosti kar le
dil-e-nadan ki phir bhi tarz-e-nadani nahin jati
meri hasrat bhi ek parda-nashin KHatun hai sahab
kahin be-parda meri raat-ki-rani nahin jati
wajah is ki batata hi nahin hai aaina apna
ki kyun hum se hamari shakl pahchani nahin jati
bahaar aati hai sahra mein to aurat ke tabassum se
tabassum ke bina to ghar ki virani nahin jati
likha hai us ki qismat mein sada bechain rahna hi
mohabbat mein to is dil ki pareshani nahin jati
dil-e-ashiq ya zulf-e-naznin donon rahen barham
kisi 'panchhi' se rakkhi un ki nigarani nahin jati
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.