mohabbat ke safar ko har ghaDi dushwar karta tha
mohabbat ke safar ko har ghaDi dushwar karta tha
Farrukh Nawaz Farrukh
MORE BYFarrukh Nawaz Farrukh
mohabbat ke safar ko har ghaḌī dushvār kartā thā
vo har ik rāste ko mere nā-hamvār kartā thā
ġhazal likh kar tirī dīvār par laTkā ke jab aatā
to saarī raat phir girya dar-o-dīvār kartā thā
mare ehsās ko chhalnī kiye detā thā har lamha
ye kār-e-ḳhair mere shahr kā aḳhbār kartā thā
jise tum chaah kar bhī paar hargiz kar nahīñ paa.e
meñ TūTī-phūTī kashtī se vo dariyā paar kartā thā
sunā hai ek zālim shahr meñ aisā bhī aayā thā
jo marne ke liye bachchoñ ko bhī tayyār kartā thā
sabaq paḌhtā bhī to kaise ki saarā din mire hamdam
meñ chupke chupke har ik pal tirā dīdār kartā thā
mare atrāf meñ shahnā.iyāñ sī bajne lagtī thiiñ
mohabbat kā kabhī 'farruḳh' vo jab iz.hār kartā thā
mohabbat ke safar ko har ghaDi dushwar karta tha
wo har ek raste ko mere na-hamwar karta tha
ghazal likh kar teri diwar par laTka ke jab aata
to sari raat phir girya dar-o-diwar karta tha
mare ehsas ko chhalni kiye deta tha har lamha
ye kar-e-KHair mere shahr ka aKHbar karta tha
jise tum chah kar bhi par hargiz kar nahin pae
mein TuTi-phuTi kashti se wo dariya par karta tha
suna hai ek zalim shahr mein aisa bhi aaya tha
jo marne ke liye bachchon ko bhi tayyar karta tha
sabaq paDhta bhi to kaise ki sara din mere hamdam
mein chupke chupke har ek pal tera didar karta tha
mare atraf mein shahnaiyan si bajne lagti thin
mohabbat ka kabhi 'farruKH' wo jab izhaar karta tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.