mohabbat ke safar mein ek aisa bhi maqam aaya
mohabbat ke safar meñ ek aisā bhī maqām aaya
sahāre ke liye lab par tumhāre merā naam aaya
havā sākit fazā mab.hūt aur lab band ġhunchoñ ke
chaman meñ kaun hangām-e-sahar nāzuk-ḳhirām aaya
panāheñ DhūñD liiñ ḳhurshīd ne kohsār ke pīchhe
jo dekhā shaam ko ik māh-vash bālā-e-bām aaya
sunā hai mai-kada apnā hai ab saaqī bhī apnā hai
magar rindoñ ke hisse meñ na mai aa.ī na jaam aaya
ye un kī bhuul thī yā jazba-e-dil kā karishma thā
maiñ hairāñ huuñ mirā un kī zabāñ par kaise naam aaya
havā kā ek jhoñkā ittifāqan chal gayā shāyad
to dīvānoñ ne samjhā mausam-e-gul kā payām aaya
mohabbat ke safar mein ek aisa bhi maqam aaya
sahaare ke liye lab par tumhaare mera nam aaya
hawa sakit faza mabhut aur lab band ghunchon ke
chaman mein kaun hangam-e-sahar nazuk-KHiram aaya
panahen DhunD lin KHurshid ne kohsar ke pichhe
jo dekha sham ko ek mah-wash baala-e-baam aaya
suna hai mai-kada apna hai ab saqi bhi apna hai
magar rindon ke hisse mein na mai aai na jam aaya
ye un ki bhul thi ya jazba-e-dil ka karishma tha
main hairan hun mera un ki zaban par kaise nam aaya
hawa ka ek jhonka ittifaqan chal gaya shayad
to diwanon ne samjha mausam-e-gul ka payam aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.