mohabbat KHud hi apni parda-dar-e-raaz hoti hai
mohabbat KHud hi apni parda-dar-e-raaz hoti hai
Vishnu Kumar Shauq
MORE BYVishnu Kumar Shauq
mohabbat ḳhud hī apnī parda-dār-e-rāz hotī hai
jo dil par choT lagtī hai vo be-āvāz hotī hai
ba-zāhir naġhma-e-hastī bhalā ma.alūm hotā hai
magar har saañs āvāz-e-shikast-e-sāz hotī hai
diloñ ke mel meñ rusvā.iyāñ bhī ho ke rahtī hai
ki Takrāte haiñ jab sāġhar to ik āvāz hotī hai
na hañsne kā koī maqsad na rone kā koī matlab
vo dīvāne haiñ jin kī zindagī ik raaz hotī hai
chhupā.e se lab-o-lahja mohabbat kā nahīñ chhuptā
zamāne se bahut badlī huī āvāz hotī hai
maiñ rotā huuñ to koī daad ashkoñ kī nahīñ detā
maiñ hañstā huuñ to duniyā gosh-bar-āvāz hotī hai
gunahgāroñ ko ai 'shauq' ik yahī taskīn kyā kam ho
ḳhatā ashkoñ se tar ho kar nazar-andāz hotī hai
mohabbat KHud hi apni parda-dar-e-raaz hoti hai
jo dil par choT lagti hai wo be-awaz hoti hai
ba-zahir naghma-e-hasti bhala malum hota hai
magar har sans aawaz-e-shikast-e-saz hoti hai
dilon ke mel mein ruswaiyan bhi ho ke rahti hai
ki Takraate hain jab saghar to ek aawaz hoti hai
na hansne ka koi maqsad na rone ka koi matlab
wo diwane hain jin ki zindagi ek raaz hoti hai
chhupae se lab-o-lahja mohabbat ka nahin chhupta
zamane se bahut badli hui aawaz hoti hai
main rota hun to koi dad ashkon ki nahin deta
main hansta hun to duniya gosh-bar-awaz hoti hai
gunahgaron ko ai 'shauq' ek yahi taskin kya kam ho
KHata ashkon se tar ho kar nazar-andaz hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.