mohabbat ki alamat ho gai hai
mohabbat kī alāmat ho ga.ī hai
ye kis be-kas kī rehlat ho ga.ī hai
koī maqsad nahīñ hai zindagī kā
hameñ jiine kī aadat ho ga.ī hai
abhī tak kyuuñ ye patte TūTte haiñ
havā to kab kī ruḳhsat ho ga.ī hai
koī tāqat dabā saktī nahīñ ab
ki zehnoñ meñ baġhāvat ho ga.ī hai
jise maiñ qatl kar ke ḳhush huā thā
har ā.īna vo sūrat ho ga.ī hai
garebāñ meñ abas kyuuñ jhāñkte ho
tumheñ kaisī ye vahshat ho ga.ī hai
ibādat ik zarūrat se thī pahle
zarūrat ab ibādat ho ga.ī hai
nahīñ hai dhyān apnī zindagī kā
ki ab bachchoñ se ulfat ho ga.ī hai
hamārī zindagī hī kyā hai 'ḳhālid'
azīzoñ kī amānat ho ga.ī hai
mohabbat ki alamat ho gai hai
ye kis be-kas ki rehlat ho gai hai
koi maqsad nahin hai zindagi ka
hamein jine ki aadat ho gai hai
abhi tak kyun ye patte TuTte hain
hawa to kab ki ruKHsat ho gai hai
koi taqat daba sakti nahin ab
ki zehnon mein baghawat ho gai hai
jise main qatl kar ke KHush hua tha
har aaina wo surat ho gai hai
gareban mein abas kyun jhankte ho
tumhein kaisi ye wahshat ho gai hai
ibaadat ek zarurat se thi pahle
zarurat ab ibaadat ho gai hai
nahin hai dhyan apni zindagi ka
ki ab bachchon se ulfat ho gai hai
hamari zindagi hi kya hai 'KHalid'
azizon ki amanat ho gai hai
- Book : Sitaron Mein Chamak Baqi Hai (Pg. 72)
- Author : Khalid Fatehpuri
- Publication : Khalid Fatehpuri (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.