mohabbat ki Dagar par ab nikal aaya hai diwana
mohabbat kī Dagar par ab nikal aaya hai dīvāna
bahut lambe safar par ab nikal aaya hai dīvāna
sajā ke phuul ḳhushiyoñ kā dil-e-betāb pe apne
kisī jhūTī ḳhabar par ab nikal aaya hai dīvāna
kabhī jis par chale the 'vāmiq'-o-'farhād' aur majnūñ
unhīñ kī rahguzar par ab nikal aaya hai dīvāna
hazāroñ tiir dushman ke hazāroñ dard duniyā ke
liye apne jigar par ab nikal aaya hai dīvāna
kabhī is kā kabhī us kā kabhī us kā kabhī is kā
uThā.e bojh sar par ab nikal aaya hai dīvāna
sunā 'adnān' aate haiñ Tahalne roz gulshan meñ
umīd-e-ik-nazar par ab nikal aaya hai dīvāna
mohabbat ki Dagar par ab nikal aaya hai diwana
bahut lambe safar par ab nikal aaya hai diwana
saja ke phul KHushiyon ka dil-e-betab pe apne
kisi jhuTi KHabar par ab nikal aaya hai diwana
kabhi jis par chale the 'wamiq'-o-'farhad' aur majnun
unhin ki rahguzar par ab nikal aaya hai diwana
hazaron tir dushman ke hazaron dard duniya ke
liye apne jigar par ab nikal aaya hai diwana
kabhi is ka kabhi us ka kabhi us ka kabhi is ka
uThae bojh sar par ab nikal aaya hai diwana
suna 'adnan' aate hain Tahalne roz gulshan mein
umid-e-ik-nazar par ab nikal aaya hai diwana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.