mohabbat ki fitrat hai ye be-qarari
mohabbat kī fitrat hai ye be-qarārī
koī kyā karegā mirī ġham-gusārī
vahī kāmyābī ke asrār samjhā
mohabbat kī baazī yahāñ jis ne haarī
tumhāre ishāroñ pe chaltī hai duniyā
na muḳhtār yaañ haiñ na be-iḳhtiyārī
mire dil ko patthar ḳhudārā na samjho
nigāheñ phir us par nigāheñ tumhārī
mohabbat kī qismat meñ likhī huī hai
yahī dard-mandī yahī ashk-bārī
zamāna mirā soz-e-ġham kyā samajhtā
ki har saañs hai ik na.ī sho.ala-bārī
ġham-e-dil sunātā huuñ maiñ 'hosh' un ko
magar koī dekhe mirī be-qarārī
mohabbat ki fitrat hai ye be-qarari
koi kya karega meri gham-gusari
wahi kaamyabi ke asrar samjha
mohabbat ki bazi yahan jis ne haari
tumhaare ishaaron pe chalti hai duniya
na muKHtar yan hain na be-iKHtiyari
mere dil ko patthar KHudara na samjho
nigahen phir us par nigahen tumhaari
mohabbat ki qismat mein likhi hui hai
yahi dard-mandi yahi ashk-bari
zamana mera soz-e-gham kya samajhta
ki har sans hai ek nai shoala-bari
gham-e-dil sunata hun main 'hosh' un ko
magar koi dekhe meri be-qarari
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.