mohabbat ki hararat se hua sara lahu aatish
mohabbat kī harārat se huā saarā lahū ātish
taḳhayyul shabnamī hai garche merī guftugū ātish
nigār-e-zindagī meñ us ke dam se hī ujālā hai
chaman vīrāna hotā gar na hotī aarzū ātish
ḳhush aatī hai ham āshufta-saroñ ko us kī ye aadat
kabhī mānind-e-shabnam aur hotā hai kabhī ātish
jhulas jaatī haiñ vo āñkheñ jinheñ kuchh ḳhvāb bunñe the
banā dī ahd-e-nau kī nafratoñ ne justujū ātish
ibārat aaj kal kī zindagī hai in anāsir se
siyāsat āmriyat ḳhūn-e-nāhaq kū-ba-kū ātish
tamāniyyat kī lāzim shart hai ḳhush-niyyatī varna
tag-o-dau be-bizā.at aur saarī hāo-hū ātish
'zafar' se ab to nazreñ bhī milānā āzmā.ish hai
ki garmī-e-jahāñ se ho gayā hai mū-ba-mū ātish
mohabbat ki hararat se hua sara lahu aatish
taKHayyul shabnami hai garche meri guftugu aatish
nigar-e-zindagi mein us ke dam se hi ujala hai
chaman virana hota gar na hoti aarzu aatish
KHush aati hai hum aashufta-saron ko us ki ye aadat
kabhi manind-e-shabnam aur hota hai kabhi aatish
jhulas jati hain wo aankhen jinhen kuchh KHwab bunne the
bana di ahd-e-nau ki nafraton ne justuju aatish
ibarat aaj kal ki zindagi hai in anasir se
siyasat aamriyat KHun-e-nahaq ku-ba-ku aatish
tamaniyyat ki lazim shart hai KHush-niyyati warna
tag-o-dau be-bizaat aur sari hao-hu aatish
'zafar' se ab to nazren bhi milana aazmaish hai
ki garmi-e-jahan se ho gaya hai mu-ba-mu aatish
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.