Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mohabbat ki intiha chahta hun

Basit Bhopali

mohabbat ki intiha chahta hun

Basit Bhopali

MORE BYBasit Bhopali

    mohabbat intihā chāhtā huuñ

    unheñ hāsil-e-ibtidā chāhtā huuñ

    use barmalā dekhnā chāhtā huuñ

    adab ai mohabbat ye kyā chāhtā huuñ

    ġham-e-ishq silsilā chāhtā huuñ

    maiñ tujh tak tirā vāstā chāhtā huuñ

    karam-hā-e-nā-mustaqil gila kyā

    sitam-hā-e-be-intihā chāhtā huuñ

    vo ghabrā ke jis par nazar Daal deñ

    maiñ vo qalb-e-shorish-adā chāhtā huuñ

    karam kījiye to karam huuñ tālib

    sazā dījiye to sazā chāhtā huuñ

    tirī yaad achchhī tarah zikr pyārā

    magar maiñ tujhe dekhnā chāhtā huuñ

    tire ishq se banī merī hastī

    tire ishq meñ miTā chāhtā huuñ

    jo taaza kare qissa-e-tūr 'bāsit'

    maiñ aisā ik vāqi.a chāhtā huuñ

    mohabbat ki intiha chahta hun

    unhen hasil-e-ibtida chahta hun

    use barmala dekhna chahta hun

    adab ai mohabbat ye kya chahta hun

    gham-e-ishq ka silsila chahta hun

    main tujh tak tera wasta chahta hun

    karam-ha-e-na-mustaqil ka gila kya

    sitam-ha-e-be-intiha chahta hun

    wo ghabra ke jis par nazar Dal hi den

    main wo qalb-e-shorish-ada chahta hun

    karam kijiye to karam ka hun talib

    saza dijiye to saza chahta hun

    teri yaad achchhi tarah zikr pyara

    magar main tujhe dekhna chahta hun

    tere ishq hi se bani meri hasti

    tere ishq hi mein miTa chahta hun

    jo taza kare qissa-e-tur 'basit'

    main aisa hi ek waqia chahta hun

    Source :
    • Karvan-e-ghazal
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now