mohabbat ki karishma-saziyan aawaz deti hain
mohabbat kī karishma-sāziyāñ āvāz detī haiñ
tirī yādoñ kī alhaḌ shoḳhiyāñ āvāz detī haiñ
musāfir lauTnā chāho to lamhoñ meñ palaT jaao
tumheñ sāhil pe Thahrī kashtiyāñ āvāz detī haiñ
zarā sī der meñ mausam badalne kā zamāna hai
havā ke bāzuoñ kī chūḌiyāñ āvāz detī haiñ
ḳhizāñ ke ḳhauf se sahme parindo lauT bhī aao
tumheñ phir lahlahātī Tahniyāñ āvāz detī haiñ
chale jaate haiñ ham apnā lahū īñdhan banāne ko
dhuāñ detī huī jab chimniyāñ āvāz detī haiñ
maiñ jab bhī shab ke dāman par koī sūraj ugātā huuñ
tirī sochoñ kī gahrī badliyāñ āvāz detī haiñ
zarā sī der ko kuchh shādmāñ lamhe atā kar do
zarā sunñā ġhamoñ kī talḳhiyāñ āvāz detī haiñ
'shafīq' ahbāb aksar yaad aate haiñ hameñ ab bhī
havā ke saath bajtī tāliyāñ āvāz detī haiñ
mohabbat ki karishma-saziyan aawaz deti hain
teri yaadon ki alhaD shoKHiyan aawaz deti hain
musafir lauTna chaho to lamhon mein palaT jao
tumhein sahil pe Thahri kashtiyan aawaz deti hain
zara si der mein mausam badalne ka zamana hai
hawa ke bazuon ki chuDiyan aawaz deti hain
KHizan ke KHauf se sahme parindo lauT bhi aao
tumhein phir lahlahati Tahniyan aawaz deti hain
chale jate hain hum apna lahu indhan banane ko
dhuan deti hui jab chimniyan aawaz deti hain
main jab bhi shab ke daman par koi suraj ugata hun
teri sochon ki gahri badliyan aawaz deti hain
zara si der ko kuchh shadman lamhe ata kar do
zara sunna ghamon ki talKHiyan aawaz deti hain
'shafiq' ahbab aksar yaad aate hain hamein ab bhi
hawa ke sath bajti taliyan aawaz deti hain
- Book : Beesveen Sadi Ki Behtareen Ishqiya Ghazlen (Pg. 129)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.