mohabbat ki lagan ko aazmane kaun nikla hai
mohabbat kī lagan ko āzmāne kaun niklā hai
kisī kī raah par āñkheñ bichhāne kaun niklā hai
umangoñ ko na.e sapne dikhāne kaun niklā hai
añdherī raat meñ dīpak jalāne kaun niklā hai
sulagte āñsuoñ meñ ārzūoñ kī chitāeñ haiñ
barastī aañkh se sāvan manāne kaun niklā hai
jise sun sun ke kaliyāñ muskurātī jhuum jaatī haiñ
madhur ye manbarī jag ko sunāne kaun niklā hai
sunā thā koī dīvāna hai apnī dhun meñ gaatā hai
magar 'aql-o-ḳhirad ko āzmāne kaun niklā hai
mohabbat ki lagan ko aazmane kaun nikla hai
kisi ki rah par aankhen bichhane kaun nikla hai
umangon ko nae sapne dikhane kaun nikla hai
andheri raat mein dipak jalane kaun nikla hai
sulagte aansuon mein aarzuon ki chitaen hain
barasti aankh se sawan manane kaun nikla hai
jise sun sun ke kaliyan muskuraati jhum jati hain
madhur ye manbari jag ko sunane kaun nikla hai
suna tha koi diwana hai apni dhun mein gata hai
magar 'aql-o-KHirad ko aazmane kaun nikla hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.