mohabbat ki mukammal taur par tashrih karta hai
mohabbat kī mukammal taur par tashrīh kartā hai
ye dil jab bhī dhaḌaktā hai tirī tasbīh kartā hai
use kyā dil-lagī kā naam denā bhī munāsib hai
hamāre saath vo jo muft meñ tafrīh kartā hai
basā-auqāt kuchh ġhalatī kī gunjā.ish nahīñ hotī
to phir vo ġhalatiyoñ kī kis liye tas.hīh kartā hai
hamārī āfiyat bhī hai usī kī maan lene meñ
tabhī to pesh rozāna koī tauzīh kartā hai
mujhe ye sher us kachche ghaḌe ke naam karne haiñ
kahānī meñ vahī paidā koī talmīh kartā hai
zarūrat paḌ bhī saktī hai kahīñ ramz-o-kinā.e kī
vo pāgal-pan meñ har ik baat kī tasrīh kartā hai
miyāñ 'mas.ūd' pahle din se hī ye sar kā saudā bhī
mirī shorīdgī ko avvalīñ tarjīh kartā hai
mohabbat ki mukammal taur par tashrih karta hai
ye dil jab bhi dhaDakta hai teri tasbih karta hai
use kya dil-lagi ka nam dena bhi munasib hai
hamare sath wo jo muft mein tafrih karta hai
basa-auqat kuchh ghalati ki gunjaish nahin hoti
to phir wo ghalatiyon ki kis liye tashih karta hai
hamari aafiyat bhi hai usi ki man lene mein
tabhi to pesh rozana koi tauzih karta hai
mujhe ye sher us kachche ghaDe ke nam karne hain
kahani mein wahi paida koi talmih karta hai
zarurat paD bhi sakti hai kahin ramz-o-kinae ki
wo pagal-pan mein har ek baat ki tasrih karta hai
miyan 'masud' pahle din se hi ye sar ka sauda bhi
meri shoridgi ko awwalin tarjih karta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.