mohabbat ki ye hoti hai saza kya
mohabbat kī ye hotī hai sazā kyā
lahū bahtā hai āñkhoñ se sadā kyā
zabāñ ḳhāmosh thī fart-e-adab se
tumhāre sāmne maiñ boltā kyā
hamesha saath hai jis ke tū yā-rab
ġharaz ho us ko duniyā se bhalā kyā
milātā hī nahīñ nazreñ vo mujh se
ḳhud apnī hī nazar se gir gayā kyā
ḳhamoshī chīḳhtī hai zehn meñ kyoñ
koī aane ko hai ab zalzala kyā
mujhe hī milte haiñ kyoñ ġham ye āḳhir
inheñ mā'lūm hai merā pata kyā
bahakte haiñ qadam 'abrār' tere
kisī se 'ishq tujh ko ho gayā kyā
mohabbat ki ye hoti hai saza kya
lahu bahta hai aankhon se sada kya
zaban KHamosh thi fart-e-adab se
tumhaare samne main bolta kya
hamesha sath hai jis ke tu ya-rab
gharaz ho us ko duniya se bhala kya
milata hi nahin nazren wo mujh se
KHud apni hi nazar se gir gaya kya
KHamoshi chiKHti hai zehn mein kyon
koi aane ko hai ab zalzala kya
mujhe hi milte hain kyon gham ye aaKHir
inhen ma'lum hai mera pata kya
bahakte hain qadam 'abrar' tere
kisi se 'ishq tujh ko ho gaya kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.