mohabbat ko kahte ho barti bhi thi
mohabbat ko kahte ho bartī bhī thī
chalo jaao baiTho kabhī kī bhī thī
baḌe tum hamāre ḳhabar-gīr-hāl
ḳhabar bhī huī thī ḳhabar lī bhī thī
sabā ne vahāñ jā ke kyā kah diyā
mirī baat kam-baḳht samjhī bhī thī
gila kyuuñ mire tark-e-taslīm kā
kabhī tum ne talvār khīñchī bhī thī
diloñ meñ safā.ī ke jauhar kahāñ
jo dekhā to paanī meñ miTTī bhī thī
butoñ ke liye jaan 'muztar' ne dī
yahī us ke mālik kī marzī bhī thī
mohabbat ko kahte ho barti bhi thi
chalo jao baiTho kabhi ki bhi thi
baDe tum hamare KHabar-gir-haal
KHabar bhi hui thi KHabar li bhi thi
saba ne wahan ja ke kya kah diya
meri baat kam-baKHt samjhi bhi thi
gila kyun mere tark-e-taslim ka
kabhi tum ne talwar khinchi bhi thi
dilon mein safai ke jauhar kahan
jo dekha to pani mein miTTi bhi thi
buton ke liye jaan 'muztar' ne di
yahi us ke malik ki marzi bhi thi
- Book : Khirman (Part-1) (Pg. 216)
- Author : Muztar Khairabadi
- Publication : Javed Akhtar (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.