mohabbat ko na tolo mohabbat be-baha hai
mohabbat ko na tolo mohabbat be-bahā hai
mohabbat dil meñ gholo mohabbat to duā hai
bharī barsāt aa.e diloñ meñ phuul mahke
laboñ par ye duā thī laboñ par ye duā hai
ki yuuñ to zindagī ke hazāroñ mas.ale haiñ
faqat chāhat tumhārī hamārā mas.ala hai
zamīn-o-āsmāñ kā karam hāsil tumhīñ ho
muqaddar meñ hamāre to kaalā ratjagā hai
ye jism-o-jāñ kā rishta baḌā anmol hai naañ
so us kī qadr karnā hamārā mashġhala hai
'duā' ik umr se maiñ usī ko pūjtī huuñ
vo dil ke but-kade meñ vafā kā devtā hai
mohabbat ko na tolo mohabbat be-baha hai
mohabbat dil mein gholo mohabbat to dua hai
bhari barsat aae dilon mein phul mahke
labon par ye dua thi labon par ye dua hai
ki yun to zindagi ke hazaron masale hain
faqat chahat tumhaari hamara masala hai
zamin-o-asman ka karam hasil tumhin ho
muqaddar mein hamare to kala ratjaga hai
ye jism-o-jaan ka rishta baDa anmol hai nan
so us ki qadr karna hamara mashghala hai
'dua' ek umr se main usi ko pujti hun
wo dil ke but-kade mein wafa ka dewta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.