mohabbat ko rulaya tha kisi ne
mohabbat ko rulāyā thā kisī ne
hameñ bhī āzmāyā thā kisī ne
zamāne meñ kisī se dil lagā kar
kisī kā dil dukhāyā thā kisī ne
ujāloñ ko taraste haiñ abhī tak
kabhī jugnū bujhāyā thā kisī ne
masarrat se judā kar paas mere
udāsī ko biThāyā thā kisī ne
bichhaḌne kā irāda ham na samjhe
bahānā tak banāyā thā kisī ne
use ham bhuul bhī jaa.eñ to kaise
hameñ dil meñ basāyā thā kisī ne
isī mā'sūmiyat par mar miTe ham
kiyā vā'da nibhāyā thā kisī ne
hathelī par hamārā naam likh ke
raqīboñ ko dikhāyā thā kisī ne
mohabbat ko rulaya tha kisi ne
hamein bhi aazmaya tha kisi ne
zamane mein kisi se dil laga kar
kisi ka dil dukhaya tha kisi ne
ujalon ko taraste hain abhi tak
kabhi jugnu bujhaya tha kisi ne
masarrat se juda kar pas mere
udasi ko biThaya tha kisi ne
bichhaDne ka irada hum na samjhe
bahana tak banaya tha kisi ne
use hum bhul bhi jaen to kaise
hamein dil mein basaya tha kisi ne
isi ma'sumiyat par mar miTe hum
kiya wa'da nibhaya tha kisi ne
hatheli par hamara nam likh ke
raqibon ko dikhaya tha kisi ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.