mohabbat kya salib-e-zindagi hai
mohabbat kyā salīb-e-zindagī hai
dil-e-rusvā kā hāsil ḳhud-kushī hai
ḳhud apnī ḳhvāhishoñ ke āstāñ par
pareshāñ-hāl kitnā aadmī hai
shab-e-dair-o-haram se mai-kade tak
mire hī āñsuoñ kī raushnī hai
pilā.ī umr-bhar saaqī ne lekin
mirī qismat meñ ab tak tishnagī hai
ham apne aap ke qātil bane haiñ
ye kis tahzīb kī jādūgarī hai
suno āvāz tum mere lahū kī
yahī to raaz husn-e-shā.irī hai
ḳhafā hai in dinoñ 'rāhī' se manzil
agarche ḳhuub terī rahbarī hai
mohabbat kya salib-e-zindagi hai
dil-e-ruswa ka hasil KHud-kushi hai
KHud apni KHwahishon ke aastan par
pareshan-haal kitna aadmi hai
shab-e-dair-o-haram se mai-kade tak
mere hi aansuon ki raushni hai
pilai umr-bhar saqi ne lekin
meri qismat mein ab tak tishnagi hai
hum apne aap ke qatil bane hain
ye kis tahzib ki jadugari hai
suno aawaz tum mere lahu ki
yahi to raaz husn-e-shairi hai
KHafa hai in dinon 'rahi' se manzil
agarche KHub teri rahbari hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.