mohabbat mein agar bimar hota
mohabbat meñ agar bīmār hotā
hamārā bhī koī haqdār hotā
bhale ham kaam meñ masrūf rahte
kabhī hisse meñ to itvār hotā
mujhe bhī paḌh liyā hotā sabhī ne
mirā lahja agar aḳhbār hotā
mubārakbād dete ġhair bhī gar
kahānī meñ tirā kirdār hotā
ka.ī inkār aa.e scene meñ haiñ
dikhāve ko hī ik iqrār hotā
kitābat pe kitābat kar rahe ho
suḳhanvar kā alag me'yār hotā
milī hotī nigāhoñ se nigāheñ
gulābī sharm se ruḳhsār hotā
hunar shāmil hai is meñ bāġhbāñ kā
chaman yuuñ hī nahīñ gulzār hotā
sharāfat bas kitāboñ meñ bachī hai
adab kā bhī 'abhay' bāzār hotā
mohabbat mein agar bimar hota
hamara bhi koi haqdar hota
bhale hum kaam mein masruf rahte
kabhi hisse mein to itwar hota
mujhe bhi paDh liya hota sabhi ne
mera lahja agar aKHbar hota
mubarakbaad dete ghair bhi gar
kahani mein tera kirdar hota
kai inkar aae scene mein hain
dikhawe ko hi ek iqrar hota
kitabat pe kitabat kar rahe ho
suKHanwar ka alag me'yar hota
mili hoti nigahon se nigahen
gulabi sharm se ruKHsar hota
hunar shamil hai is mein baghban ka
chaman yun hi nahin gulzar hota
sharafat bas kitabon mein bachi hai
adab ka bhi 'abhay' bazar hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.