mohabbat mein hazaron imtihan the
mohabbat meñ hazāroñ imtihāñ the
magar ye baat ham samjhe kahāñ the
kahīñ chhupnā munāsib hī na thā so
maiñ in meñ aur vo mujh meñ nihāñ the
huā ye 'ilm duniyā kī hañsī se
hamāre raaz to saare 'ayāñ the
samay badlā nazar badlī sabhī kī
vahī jo ab se pahle qadr-dāñ the
kahāñ alfāz kī narmī gañvā dī
qasam se aap to shīrīñ-zabāñ the
mohabbat mein hazaron imtihan the
magar ye baat hum samjhe kahan the
kahin chhupna munasib hi na tha so
main in mein aur wo mujh mein nihan the
hua ye 'ilm duniya ki hansi se
hamare raaz to sare 'ayan the
samay badla nazar badli sabhi ki
wahi jo ab se pahle qadr-dan the
kahan alfaz ki narmi ganwa di
qasam se aap to shirin-zaban the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.