mohabbat mein kabhi taskin-e-dil pai nahin jati
mohabbat mein kabhi taskin-e-dil pai nahin jati
Nihal Rizvi Lucknowi
MORE BYNihal Rizvi Lucknowi
mohabbat meñ kabhī taskīn-e-dil paa.ī nahīñ jaatī
tabī.at ḳhud bahal jaatī hai bahlā.ī nahīñ jaatī
kisī se bevafā.ī par bhī ummīd-e-vafā rakhnā
ye vo Thokar hai jo har ek se khaa.ī nahīñ jaatī
mohabbat meñ ġhalat-fahmī kā honā lāzmī shai hai
ġhalat-fahmī vo gutthī hai jo suljhā.ī nahīñ jaatī
tirī hamdardiyoñ kā shukriya ai pūchhne vaale
magar kuchh baat aisī hai jo dohrā.ī nahīñ jaatī
mohabbat do diloñ ke darmiyāñ paidā jo kartī hai
vo gutthī ḳhud sulajh jaatī hai suljhā.ī nahīñ jaatī
abhī thā sāmne koī abhī nazroñ se ojhal hai
abhī duniyā jahāñ par thī vahāñ paa.ī nahīñ jaatī
jahāñ maiñ huuñ vahāñ har shai meñ un kā husn hai lekin
jahāñ vo haiñ vahāñ tak merī rusvā.ī nahīñ jaatī
mohabbat meñ buland-o-past kā ehsās kyā ma.anī
mohabbat imtiyāzī shakl meñ laa.ī nahīñ jaatī
'nihāl' ab to koī har-vaqt rahtā hai nigāhoñ meñ
nahīñ jaatī kisī kī jalva-ārā.ī nahīñ jaatī
mohabbat mein kabhi taskin-e-dil pai nahin jati
tabiat KHud bahal jati hai bahlai nahin jati
kisi se bewafai par bhi ummid-e-wafa rakhna
ye wo Thokar hai jo har ek se khai nahin jati
mohabbat mein ghalat-fahmi ka hona lazmi shai hai
ghalat-fahmi wo gutthi hai jo suljhai nahin jati
teri hamdardiyon ka shukriya ai puchhne wale
magar kuchh baat aisi hai jo dohrai nahin jati
mohabbat do dilon ke darmiyan paida jo karti hai
wo gutthi KHud sulajh jati hai suljhai nahin jati
abhi tha samne koi abhi nazron se ojhal hai
abhi duniya jahan par thi wahan pai nahin jati
jahan main hun wahan har shai mein un ka husn hai lekin
jahan wo hain wahan tak meri ruswai nahin jati
mohabbat mein buland-o-past ka ehsas kya mani
mohabbat imtiyazi shakl mein lai nahin jati
'nihaal' ab to koi har-waqt rahta hai nigahon mein
nahin jati kisi ki jalwa-arai nahin jati
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.