mohabbat mein KHirad ki rahbari dekhi nahin jati
mohabbat meñ ḳhirad kī rahbarī dekhī nahīñ jaatī
ye tauhīn-e-mazāq-e-āshiqī dekhī nahīñ jaatī
har ik tasvīr kī jalva-garī dekhī nahīñ jaatī
vo sūrat dekh kar phir dūsrī dekhī nahīñ jaatī
bahār achchhī tarah gulshan meñ aa.ī bhī nahīñ lekin
asīroñ se nazar sayyād kī dekhī nahīñ jaatī
dil-e-muztar mirā parvarda-e-āġhosh-e-tūfāñ hai
ḳhushī ye mauj-e-sāhil par kabhī dekhī nahīñ jaatī
mirī hastī kā parda bhī mirī nazroñ se uTh jaa.e
ki vaqt-e-dīd-e-jānāñ ye duī dekhī nahīñ jaatī
ise piite haiñ āñkheñ band karke baada kash zāhid
nigāhoñ se ye shīshe kī parī dekhī nahīñ jaatī
nigāh-e-shauq kyā dekhegī jalva husn kāmil kā
jab adnā sī tajallī tuur kī dekhī nahīñ jaatī
nazar jitnī thī sarf-e-dīd-e-jānāñ ho ga.ī 'afqar'
koī shai ab jahān-e-husn kī dekhī nahīñ jaatī
mohabbat mein KHirad ki rahbari dekhi nahin jati
ye tauhin-e-mazaq-e-ashiqi dekhi nahin jati
har ek taswir ki jalwa-gari dekhi nahin jati
wo surat dekh kar phir dusri dekhi nahin jati
bahaar achchhi tarah gulshan mein aai bhi nahin lekin
asiron se nazar sayyaad ki dekhi nahin jati
dil-e-muztar mera parwarda-e-aghosh-e-tufan hai
KHushi ye mauj-e-sahil par kabhi dekhi nahin jati
meri hasti ka parda bhi meri nazron se uTh jae
ki waqt-e-did-e-jaanan ye dui dekhi nahin jati
ise pite hain aankhen band karke baada kash zahid
nigahon se ye shishe ki pari dekhi nahin jati
nigah-e-shauq kya dekhegi jalwa husn kaamil ka
jab adna si tajalli tur ki dekhi nahin jati
nazar jitni thi sarf-e-did-e-jaanan ho gai 'afqar'
koi shai ab jahan-e-husn ki dekhi nahin jati
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.