mohabbat mein KHushi bhi kahkashan malum hoti hai
mohabbat meñ ḳhushī bhī kahkashāñ ma.alūm hotī hai
ye hastī ab hameñ lutf-e-jahāñ ma.alūm hotī hai
hai guzrī kyā se kyā ishq-o-mohabbat ke tanāzur meñ
mohabbat ḳhārij-az-sūd-o-ziyāñ ma.alūm hotī hai
ham is duniyā meñ rah kar āḳhirat kī baat karte haiñ
hameñ to ye zamīñ ab āsmāñ ma.alūm hotī hai
ye hai ab shā.irī majzūb kī sun lo zarā yaaro
faqīrī bhī nishān-e-imtihāñ ma.alūm hotī
hai un kā mo.ajiza ye rahmatullilālamīñ honā
ye duniyā raunaq-e-kaun-o-makāñ ma.alūm hotī hai
talātum-ḳhez dariyā aur ye sāhil se nazzāra
har ik mauj-e-talātum be-karāñ ma.alūm hotī hai
ḳhudā ne azmat-e-insāiyat baḳhshī unheñ ai 'shād'
tasavvuf meñ ḳhudī ab shādmāñ ma.alūm hotī hai
mohabbat mein KHushi bhi kahkashan malum hoti hai
ye hasti ab hamein lutf-e-jahan malum hoti hai
hai guzri kya se kya ishq-o-mohabbat ke tanazur mein
mohabbat KHarij-az-sud-o-ziyan malum hoti hai
hum is duniya mein rah kar aaKHirat ki baat karte hain
hamein to ye zamin ab aasman malum hoti hai
ye hai ab shairi majzub ki sun lo zara yaro
faqiri bhi nishan-e-imtihan malum hoti
hai un ka moajiza ye rahmatullilalamin hona
ye duniya raunaq-e-kaun-o-makan malum hoti hai
talatum-KHez dariya aur ye sahil se nazzara
har ek mauj-e-talatum be-karan malum hoti hai
KHuda ne azmat-e-insaiyat baKHshi unhen ai 'shad'
tasawwuf mein KHudi ab shadman malum hoti hai
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 321)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.