mohabbat mein mila mujhko hamesha gham ka nazrana
mohabbat meñ milā mujh ko hamesha ġham kā nazrāna
kaheñ kyā ġham hī detā hai mire hamdam kā nazrāna
chhañTī jo tīrgī aa.ī sahar qudrat bhī muskā.ī
diyā hai bhor ne har phuul ko shabnam kā nazrāna
bahāroñ ke kahāñ din haiñ hamārī zindagī meñ ab
hameñ hāsil huā hai dard ke mausam kā nazrāna
hamārī har ġhazal meñ nuur phailā hai tumhārā hī
ḳhushī kā yā kaho is ko ġham-e-pur-nam kā nazrāna
kisī se pūchh kar dekho yahī 'mīnā' kahegā vo
hamesha bāñTte rahte haiñ ham marham kā nazrāna
mohabbat mein mila mujh ko hamesha gham ka nazrana
kahen kya gham hi deta hai mere hamdam ka nazrana
chhanTi jo tirgi aai sahar qudrat bhi muskai
diya hai bhor ne har phul ko shabnam ka nazrana
bahaaron ke kahan din hain hamari zindagi mein ab
hamein hasil hua hai dard ke mausam ka nazrana
hamari har ghazal mein nur phaila hai tumhaara hi
KHushi ka ya kaho is ko gham-e-pur-nam ka nazrana
kisi se puchh kar dekho yahi 'mina' kahega wo
hamesha banTte rahte hain hum marham ka nazrana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.