mohabbat mein sada qaem jahan meayar rahte hain
mohabbat meñ sadā qaa.em jahāñ me.ayār rahte haiñ
kahānī ḳhatm ho jaa.e magar kirdār rahte haiñ
tumhārā saath milne se mujhe bhī mil ga.ī shohrat
ye phūloñ kī navāzish hai mo.attar ḳhaar rahte haiñ
musāfir jāgte rahnā ye bastī hai luTeroñ kī
yahāñ rahbar kī vardī meñ chhupe aġhyār rahte haiñ
ġhalat-fahmī karātī hai diloñ meñ dūriyāñ paidā
jinheñ kal tak mohabbat thī vahī be-zār rahte haiñ
lagā.e dil pa jo marham vo DhūñDe se nahīñ miltā
namak zaḳhmoñ pe milne ko yahāñ do chaar rahte haiñ
na qīmat kam ziyāda hai na TuuTe haiñ kahīñ se ham
magar phir bhī nahīñ bikte sar-e-bāzār rahte haiñ
ye kaisā daur aaya 'zain' duniyā meñ sahāfat kī
ta.assub kī siyāhī se bhare aḳhbār rahte haiñ
mohabbat mein sada qaem jahan meayar rahte hain
kahani KHatm ho jae magar kirdar rahte hain
tumhaara sath milne se mujhe bhi mil gai shohrat
ye phulon ki nawazish hai moattar KHar rahte hain
musafir jagte rahna ye basti hai luTeron ki
yahan rahbar ki wardi mein chhupe aghyar rahte hain
ghalat-fahmi karaati hai dilon mein duriyan paida
jinhen kal tak mohabbat thi wahi be-zar rahte hain
lagae dil pa jo marham wo DhunDe se nahin milta
namak zaKHmon pe milne ko yahan do chaar rahte hain
na qimat kam ziyaada hai na TuTe hain kahin se hum
magar phir bhi nahin bikte sar-e-bazar rahte hain
ye kaisa daur aaya 'zain' duniya mein sahafat ki
tassub ki siyahi se bhare aKHbar rahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.