mohabbat mein wafa ke goshware bhul baiTha tha
mohabbat meñ vafā ke goshvāre bhuul baiThā thā
maiñ apne sab munāfe sab ḳhasāre bhuul baiThā thā
safar meñ saath tum bhī the mujhe kyā ġham thā raste kā
maiñ apnī dhun meñ thā va.ade tumhāre bhuul baiThā thā
maiñ in lahroñ ke āñchal meñ lipaT ke duur jā pahuñchā
samandar kī mohabbat meñ kināre bhuul baiThā thā
bichhaḌ jaane kī vo bāteñ to aksar kartā rahtā thā
maiñ un lafzoñ ke maḳhfī isti.āre bhuul baiThā thā
mirī nazroñ meñ be-mafhum thī ye raunaq-e-duniyā
maiñ is duniyā ko yādoñ ke sahāre bhuul baiThā thā
mujhe tum yaad aa.e the december ke mahīne meñ
jab apnī saarī nīñdeñ ḳhvāb saare bhuul baiThā thā
mohabbat mein wafa ke goshware bhul baiTha tha
main apne sab munafe sab KHasare bhul baiTha tha
safar mein sath tum bhi the mujhe kya gham tha raste ka
main apni dhun mein tha wade tumhaare bhul baiTha tha
main in lahron ke aanchal mein lipaT ke dur ja pahuncha
samandar ki mohabbat mein kinare bhul baiTha tha
bichhaD jaane ki wo baaten to aksar karta rahta tha
main un lafzon ke maKHfi istiare bhul baiTha tha
meri nazron mein be-mafhum thi ye raunaq-e-duniya
main is duniya ko yaadon ke sahaare bhul baiTha tha
mujhe tum yaad aae the december ke mahine mein
jab apni sari ninden KHwab sare bhul baiTha tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.