Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mohabbat mein wafaon ka yahi inam hai sufi

Saghir Ahmad Sufi

mohabbat mein wafaon ka yahi inam hai sufi

Saghir Ahmad Sufi

MORE BYSaghir Ahmad Sufi

    mohabbat meñ vafāoñ yahī in.aam hai 'sūfī'

    liye dāġh-e-judā.ī hasrat-e-nākām hai 'sūfī'

    agar ilzām hai koī to ye ilzām hai 'sūfī'

    ki apnī sharāfat ke liye badnām hai 'sūfī'

    hamīñ har daur meñ the gardish-e-ayyām ke maare

    magar ham se ilāj-e-gardish-e-ayyām hai 'sūfī'

    ba-faiz-e-rasm-e-mai-ḳhāna badalte rahe saaqī

    jo bin māñge pilā.e sāqī-e-gulfām hai 'sūfī'

    kashākash-hā-e-hastī ne jise dīvāngī baḳhshī

    vo dīvāna harīf-e-talḳhī-e-ayyām hai 'sūfī'

    tire gītoñ jhankāroñ se duniyā guuñj to uTThī

    magar kāshī nagrī meñ baḌā gumnām hai 'sūfī'

    mohabbat mein wafaon ka yahi inam hai 'sufi'

    liye dagh-e-judai hasrat-e-nakaam hai 'sufi'

    agar ilzam hai koi to ye ilzam hai 'sufi'

    ki tu apni sharafat ke liye badnam hai 'sufi'

    hamin har daur mein the gardish-e-ayyam ke mare

    magar hum se ilaj-e-gardish-e-ayyam hai 'sufi'

    ba-faiz-e-rasm-e-mai-KHana badalte hi rahe saqi

    jo bin mange pilae saqi-e-gulfam hai 'sufi'

    kashakash-ha-e-hasti ne jise diwangi baKHshi

    wo diwana harif-e-talKHi-e-ayyam hai 'sufi'

    tere giton ki jhankaron se duniya gunj to uTThi

    magar kashi ki nagri mein baDa gumnam hai 'sufi'

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now