mohabbat mein wo hum ko nashad kar ke
mohabbat meñ vo ham ko nāshād kar ke
pareshāñ pareshāñ haiñ bedād kar ke
vahī haañ vahī jo hameñ bhuul baiThe
bahut ro.e kal ham unheñ yaad kar ke
usī ke liye mere lab par duā hai
mujhe rakh diyā jis ne barbād kar ke
mohabbat meñ vo daur nazdīk hai phir
taḌap jāoge tum hameñ yaad kar ke
huī daulat-e-zabt barbād yuuñ hī
milā kyā shab-e-hijr fariyād kar ke
nahīñ aaj to kal rahūñgā yaqīnan
asīroñ ko zindāñ se āzād kar ke
huā ik zamāna taḌapte haiñ ab tak
kisī be-muravvat ko ham yaad kar ke
tujhe kyā milegā ye gulchīñ se pūchheñ
gulistāñ meñ phūloñ ko barbād kar ke
'vakīl' ahl-e-dil sab taḌapte raheñge
hamārī pareshāniyāñ yaad kar ke
mohabbat mein wo hum ko nashad kar ke
pareshan pareshan hain bedad kar ke
wahi han wahi jo hamein bhul baiThe
bahut roe kal hum unhen yaad kar ke
usi ke liye mere lab par dua hai
mujhe rakh diya jis ne barbaad kar ke
mohabbat mein wo daur nazdik hai phir
taDap jaoge tum hamein yaad kar ke
hui daulat-e-zabt barbaad yun hi
mila kya shab-e-hijr fariyaad kar ke
nahin aaj to kal rahunga yaqinan
asiron ko zindan se aazad kar ke
hua ek zamana taDapte hain ab tak
kisi be-murawwat ko hum yaad kar ke
tujhe kya milega ye gulchin se puchhen
gulistan mein phulon ko barbaad kar ke
'wakil' ahl-e-dil sab taDapte rahenge
hamari pareshaniyan yaad kar ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.