mohabbat mein yahi sab kaam karte hain farishte bhi
mohabbat meñ yahī sab kaam karte haiñ farishte bhī
usī kī diid kī ḳhātir sañvarte haiñ farishte bhī
sunā hai us kī aahaT par sabhī sajde meñ rahte haiñ
havā.eñ ruk sī jaatī haiñ Thaharte haiñ farishte bhī
hasīñ tasvīr hai duniyā guloñ jharnoñ pahāḌoñ kī
musavvir ban ke is meñ rang bharte haiñ farishte bhī
hazāroñ ḳhāmiyāñ mujh meñ magar ye baat dīgar hai
mirī kuchh ḳhūbiyoñ par rashk karte haiñ farishte bhī
hamārī kashtiyāñ girdāb meñ mahfūz rahtī haiñ
hamāre sang dariyā meñ utarte haiñ farishte bhī
akele ḳhaak ham ne hī nahīñ chhānī hai sahrā meñ
yahāñ us kī tamanna meñ guzarte haiñ farishte bhī
mohabbat mein yahi sab kaam karte hain farishte bhi
usi ki did ki KHatir sanwarte hain farishte bhi
suna hai us ki aahaT par sabhi sajde mein rahte hain
hawaen ruk si jati hain Thaharte hain farishte bhi
hasin taswir hai duniya gulon jharnon pahaDon ki
musawwir ban ke is mein rang bharte hain farishte bhi
hazaron KHamiyan mujh mein magar ye baat digar hai
meri kuchh KHubiyon par rashk karte hain farishte bhi
hamari kashtiyan girdab mein mahfuz rahti hain
hamare sang dariya mein utarte hain farishte bhi
akele KHak hum ne hi nahin chhani hai sahra mein
yahan us ki tamanna mein guzarte hain farishte bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.