Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mohabbat mujhse kahti thi zara hushyar daman se

Shahid Bhopali

mohabbat mujhse kahti thi zara hushyar daman se

Shahid Bhopali

MORE BYShahid Bhopali

    mohabbat mujh se kahtī thī zarā hushyār dāman se

    junūñ āvāz detā thā vo uljhe ḳhaar dāman se

    mire ashk-e-musalsal rā.egāñ hone nahīñ detā

    bahut nazdīk rahtā hai ḳhayāl-e-yār dāman se

    sañbhal o rahrav-e-rāh-e-talab manzil na kho jaa.e

    lipaTtā hai ġhubār-e-rāh nā-hamvār dāman se

    jabīñ-sā.ī kahāñ kis sajda kuchh jo qaabū ho

    chhupā kar baiTh jā.ūñ āstān-e-yār dāman se

    havā dete rahe dānista dīvāna samajh kar vo

    junūñ hotā rahā aksar mirā bedār dāman se

    ubhartī jaatī hai dāman pe ashk-e-ḳhūñ rañgīnī

    numāyāñ hotā jaatā hai nayā gulzār dāman se

    use tūfāñ kahūñ jān-e-sāhil kyā kahūñ 'shāhid'

    na ubhre jazb ho kar ashk-e-dariyā-bār dāman se

    mohabbat mujh se kahti thi zara hushyar daman se

    junun aawaz deta tha wo uljhe KHar daman se

    mere ashk-e-musalsal raegan hone nahin deta

    bahut nazdik rahta hai KHayal-e-yar daman se

    sanbhal o rahraw-e-rah-e-talab manzil na kho jae

    lipaTta hai ghubar-e-rah na-hamwar daman se

    jabin-sai kahan ki kis ka sajda kuchh jo qabu ho

    chhupa kar baiTh jaun aastan-e-yar daman se

    hawa dete rahe danista diwana samajh kar wo

    junun hota raha aksar mera bedar daman se

    ubharti jati hai daman pe ashk-e-KHun ki rangini

    numayan hota jata hai naya gulzar daman se

    use tufan kahun ya jaan-e-sahil kya kahun 'shahid'

    na ubhre jazb ho kar ashk-e-dariya-bar daman se

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now