mohabbat ne nahin chhoDa kahin ka
mohabbat ne nahīñ chhoḌā kahīñ kā
vagarna maiñ thā bāshinda kahīñ kā
kabhī kahtā nahīñ rukne ko ye dil
uThā laayā hai phir naqsha kahīñ kā
bhaTaktā phir rahā huuñ dar-ba-dar maiñ
kisī se pūchh kar rastā kahīñ kā
idhar se ham kareñ tārīf sachchī
udhar se tum kaho jhūTā kahīñ kā
kahāñ kar aa.e ham iz.hār-e-ulfat
kahīñ par ho gayā sajda kahīñ kā
jise dekhe kare paane kī ḳhvāhish
ye dil jaise ho shahzāda kahīñ kā
mohazzab aadmī ghar jā ke apne
utāregā kahīñ ġhussa kahīñ kā
mohabbat ne nahin chhoDa kahin ka
wagarna main tha bashinda kahin ka
kabhi kahta nahin rukne ko ye dil
uTha laya hai phir naqsha kahin ka
bhaTakta phir raha hun dar-ba-dar main
kisi se puchh kar rasta kahin ka
idhar se hum karen tarif sachchi
udhar se tum kaho jhuTa kahin ka
kahan kar aae hum izhaar-e-ulfat
kahin par ho gaya sajda kahin ka
jise dekhe kare pane ki KHwahish
ye dil jaise ho shahzada kahin ka
mohazzab aadmi ghar ja ke apne
utarega kahin ghussa kahin ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.