mohabbat par to mahngai bahut hai
mohabbat par to mahñgā.ī bahut hai
ye nafrat hī mire bhaa.ī bahut hai
mire hāthoñ hī merā qatl hogā
mirī bātoñ meñ sachchā.ī bahut hai
vo mere sāmne baiThā huā hai
magar āñkhoñ meñ tanhā.ī bahut hai
ḳhudā kā naam le aur paar ho jā
samundar meñ to gahrā.ī bahut hai
musāfir ḳhairiyat se lauT aa.eñ
tabī'at aaj ghabrā.ī bahut hai
hare zaḳhmoñ kā mustaqbil hī kyā hai
bas ik halkī sī purvā.ī bahut hai
purāne ḳhat añgīThī meñ jalā ke
vo laḌkī aaj pachhtā.ī bahut hai
mohabbat par to mahngai bahut hai
ye nafrat hi mere bhai bahut hai
mere hathon hi mera qatl hoga
meri baaton mein sachchai bahut hai
wo mere samne baiTha hua hai
magar aankhon mein tanhai bahut hai
KHuda ka nam le aur par ho ja
samundar mein to gahrai bahut hai
musafir KHairiyat se lauT aaen
tabi'at aaj ghabrai bahut hai
hare zaKHmon ka mustaqbil hi kya hai
bas ek halki si purwai bahut hai
purane KHat angiThi mein jala ke
wo laDki aaj pachhtai bahut hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.