mohabbat qata ki tumne wo koson uD gaya tum se
mohabbat qata ki tumne wo koson uD gaya tum se
Karamat Ali Shaheedi
MORE BYKaramat Ali Shaheedi
mohabbat qat.a kī tum ne vo kosoñ uḌ gayā tum se
dil apnā rishta-e-ulfat kā thā ai gul-ruḳhāñ bāñdhā
abhī jauhar karūñgā apnā varna sach batā mujh ko
tirī teġh-e-nigah ne mashvara kyā merī jaañ bāñdhā
ġharīq-e-bahr-e-hushyārī ko har-dam fikr-e-sāmāñ ho
kabhī yaañ kashtī-e-mai par na ham ne bādbāñ bāñdhā
adāvat nīm-jāñ majnūñ se kyā hai tujh ko ai zālim
muġhīlāñ meñ jo kHālī naaqa lā kar sāriyāñ bāñdhā
kiyā hijrāñ kī shab meñ koh-e-ġham ne mujh ko chuur aisā
ki jarrāhoñ ne sub.h aa kar mirā har ustuḳhvāñ bāñdhā
banā thā panja-e-jarrāh rashk-e-panja-e-marjāñ
tire zaḳhmī kā jis dam us ne zaḳhm-e-ḳhūñ-chakāñ bāñdhā
mirā har misra-e-dīvānñ hai ik shāḳh-e-shakar goyā
lab-e-shīrīñ kā mazmūñ maiñ ne ai shīrīñ-zabāñ bāñdhā
zamān-e-naza.a dekhā ik nazar hūr-e-bahishtī ko
ye bohtān apne āshiq par abas ai bad-gumāñ bāñdhā
koī ai hāmilān-e-arsh tum se daad letā huuñ
sutūn ik ab mire nāloñ ne sū-e-lā-makāñ bāñdhā
shahīd is qadrdānī kā huuñ TukḌe kar ke āshiq ko
lahad par naḳhl-e-mātam yaar ne bahr-e-nishāñ bāñdhā
mujhe ik umr se thā motiyoñ ke sehre kā armān
shab-e-furqat meñ tū ne dīda-e-gauhar-fishāñ bāñdhā
rasā.ī ek tere baam tak us ko nahīñ zālim
kamand-e-āh meñ sau baar maiñ ne āsmāñ bāñdhā
vo ganj-e-zāt kyā kuchh hogā yārab maiñ to hairāñ huuñ
hifāzat ke liye jis par tilism-e-do-jahāñ bāñdhā
'shahīdī' kasrat-e-isyāñ se mujh ko ḳhauf aatā hai
safar hai duur kā aur dosh par bār-e-garāñ bāñdhā
mohabbat qata ki tum ne wo koson uD gaya tum se
dil apna rishta-e-ulfat ka tha ai gul-ruKHan bandha
abhi jauhar karunga apna warna sach bata mujh ko
teri tegh-e-nigah ne mashwara kya meri jaan bandha
ghariq-e-bahr-e-hushyari ko har-dam fikr-e-saman ho
kabhi yan kashti-e-mai par na hum ne baadban bandha
adawat nim-jaan majnun se kya hai tujh ko ai zalim
mughilan mein jo kHali naqa la kar sariyan bandha
kiya hijran ki shab mein koh-e-gham ne mujh ko chur aisa
ki jarrahon ne subh aa kar mera har ustuKHwan bandha
bana tha panja-e-jarrah rashk-e-panja-e-marjaan
tere zaKHmi ka jis dam us ne zaKHm-e-KHun-chakan bandha
mera har misra-e-diwann hai ek shaKH-e-shakar goya
lab-e-shirin ka mazmun main ne ai shirin-zaban bandha
zaman-e-naza dekha ek nazar hur-e-bahishti ko
ye bohtan apne aashiq par abas ai bad-guman bandha
koi ai hamilan-e-arsh tum se dad leta hun
sutun ek ab mere nalon ne su-e-la-makan bandha
shahid is qadrdani ka hun TukDe kar ke aashiq ko
lahad par naKHl-e-matam yar ne bahr-e-nishan bandha
mujhe ek umr se tha motiyon ke sehre ka arman
shab-e-furqat mein tu ne dida-e-gauhar-fishan bandha
rasai ek tere baam tak us ko nahin zalim
kamand-e-ah mein sau bar main ne aasman bandha
wo ganj-e-zat kya kuchh hoga yarab main to hairan hun
hifazat ke liye jis par tilism-e-do-jahan bandha
'shahidi' kasrat-e-isyan se mujh ko KHauf aata hai
safar hai dur ka aur dosh par bar-e-garan bandha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.