mohabbat rang lati hai sanam jab dam nikalta hai
mohabbat rang laatī hai sanam jab dam nikaltā hai
zarūrat par kisī ma.asūm ke zamzam nikaltā hai
yahāñ ābād kīḌoñ kī haiñ nasleñ bhī bahut saarī
kahāñ har ek kiiḌe se magar resham nikaltā hai
yahāñ aane kā matlab bas nahīñ jiinā jahāñ vaalo
kisī din mar ke duniyā se banī-ādam nikaltā hai
kisī ne merī ġhazloñ ko kiyā hai aaj copy paste
kaho shā.ir ke siine se kabhī ye ġham nikaltā hai
mujhe lagtā hai 'ahmad' kī tabī.at hī nahīñ lagtī
tabhī to āj-kal bāhar vo ghar se kam nikaltā hai
mohabbat rang lati hai sanam jab dam nikalta hai
zarurat par kisi masum ke zamzam nikalta hai
yahan aabaad kiDon ki hain naslen bhi bahut sari
kahan har ek kiDe se magar resham nikalta hai
yahan aane ka matlab bas nahin jina jahan walo
kisi din mar ke duniya se bani-adam nikalta hai
kisi ne meri ghazlon ko kiya hai aaj copy paste
kaho shair ke sine se kabhi ye gham nikalta hai
mujhe lagta hai 'ahmad' ki tabiat hi nahin lagti
tabhi to aaj-kal bahar wo ghar se kam nikalta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.