Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mohabbat se junun ki dastan tak aa gaya hun main

Balbir Rathi

mohabbat se junun ki dastan tak aa gaya hun main

Balbir Rathi

MORE BYBalbir Rathi

    mohabbat se junūñ dāstāñ tak aa gayā huuñ maiñ

    kisī ke 'ishq meñ dekho kahāñ tak aa gayā huuñ maiñ

    ye rāheñ ḳhud-baḳhud kaise munavvar ho uThīñ yā-rab

    gumāñ hotā hai manzil ke nishāñ tak aa gayā huuñ maiñ

    kise mā'lūm thā jazbāt ye bhī rang lā.eñge

    junūñ meñ ab kisī ke imtihāñ tak aa gayā huuñ maiñ

    kabhī ik dard ban kar sirf un ke dil meñ pinhāñ thā

    magar ab giit ban kar har zabāñ tak aa gayā huuñ maiñ

    nahīñ vo baat kuchh aur thī jis tamanna thī

    yuuñ jazbāt rau meñ yahāñ tak aa gayā huuñ maiñ

    tumhārī in hasīñ maḳhmūr āñkhoñ qasam hamdam

    vahīñ tak rāh-e-ulfat hai jahāñ tak aa gayā huuñ maiñ

    kahīñ manzil se aage na aa pohñchā huuñ maiñ yaaro

    zarā āvāz do mujh ko kahāñ tak aa gayā huuñ maiñ

    tamanna hai ufuq ke dhuñdle parde chaak kar Dālūñ

    kisī justujū meñ ab yahāñ tak aa gayā huuñ maiñ

    mohabbat se junun ki dastan tak aa gaya hun main

    kisi ke 'ishq mein dekho kahan tak aa gaya hun main

    ye rahen KHud-baKHud kaise munawwar ho uThin ya-rab

    guman hota hai manzil ke nishan tak aa gaya hun main

    kise ma'lum tha jazbaat ye bhi rang laenge

    junun mein ab kisi ke imtihan tak aa gaya hun main

    kabhi ek dard ban kar sirf un ke dil mein pinhan tha

    magar ab git ban kar har zaban tak aa gaya hun main

    nahin wo baat hi kuchh aur thi jis ki tamanna thi

    yun hi jazbaat ki rau mein yahan tak aa gaya hun main

    tumhaari in hasin maKHmur aankhon ki qasam hamdam

    wahin tak rah-e-ulfat hai jahan tak aa gaya hun main

    kahin manzil se aage hi na aa pohncha hun main yaro

    zara aawaz do mujh ko kahan tak aa gaya hun main

    tamanna hai ufuq ke dhundle parde chaak kar Dalun

    kisi ki justuju mein ab yahan tak aa gaya hun main

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now