mohabbat se tu ne bulaya main aaya
mohabbat se tū ne bulāyā maiñ aayā
faqat ek lamha lagāyā maiñ aayā
tumhāre liye she'r taaza kahā aur
use zer-e-lab gungunāyā maiñ aayā
tirī diid kī dil meñ jaagī tamanna
masarrat se ruḳh tamtamāyā maiñ aayā
mohabbat bharā ḳhat milā thā tumhārā
use jab paḌhā muskurāyā maiñ aayā
badaltī huī rut kī rangīñ adā se
nayā valvala ek paayā maiñ aayā
bahāroñ ne chupke se kānoñ meñ aa kar
mohabbat kā naġhma sunāyā maiñ aayā
mirī be-qarārī kā 'ālam 'ajab thā
nahīñ chain bin tere paayā maiñ aayā
mohabbat se tu ne bulaya main aaya
faqat ek lamha lagaya main aaya
tumhaare liye she'r taza kaha aur
use zer-e-lab gungunaya main aaya
teri did ki dil mein jagi tamanna
masarrat se ruKH tamtamaya main aaya
mohabbat bhara KHat mila tha tumhaara
use jab paDha muskuraya main aaya
badalti hui rut ki rangin ada se
naya walwala ek paya main aaya
bahaaron ne chupke se kanon mein aa kar
mohabbat ka naghma sunaya main aaya
meri be-qarari ka 'alam 'ajab tha
nahin chain bin tere paya main aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.