mohabbat sehr hai yaro agar hasil ho yak-rui
mohabbat sehr hai yaaro agar hāsil ho yak-rūī
ye afsūñ ḳhuub asar kartā hai lekin jabki jādūī
ḳhayāl-e-mā-sivā siiñ saaf kar tū apne siine kuuñ
ki dil ke riahrta-e-iḳhlās kuuñ lāzim hai yaksūī
libās-e-pumbai bin kyūñke guzre mausam-e-sarmā
qayāmat hai ye terī sard-mehrī tis pe ye sardī
añdherā aa gayā āñkhoñ ke aage ḳhashm suuñ merī
jabhī us chhokare kī bul-havas neñ zulf Tuk chhūī
pasīne siiñ tire ai shoḳh bū aatī hai daarū kī
etī ai fitnagar sīkhī kahāñ siiñ tū neñ bad-ḳhūī
muqābil duḳhtar-e-raz kī jabhī vo muġhbacha bolā
ab us ke dekh maare shauq ke paanī ho karchūī
hue phirte ho dushman 'ābrū' ke ai sajan ab to
kaho ulfat dilī aur dostī jaanī vo kyā huī
mohabbat sehr hai yaro agar hasil ho yak-rui
ye afsun KHub asar karta hai lekin jabki jadui
KHayal-e-ma-siwa sin saf kar tu apne sine kun
ki dil ke riahrta-e-iKHlas kun lazim hai yaksui
libas-e-pumbai bin kyunke guzre mausam-e-sarma
qayamat hai ye teri sard-mehri tis pe ye sardi
andhera aa gaya aankhon ke aage KHashm sun meri
jabhi us chhokare ki bul-hawas nen zulf Tuk chhui
pasine sin tere ai shoKH bu aati hai daru ki
eti ai fitnagar sikhi kahan sin tu nen bad-KHui
muqabil duKHtar-e-raz ki jabhi wo mughbacha bola
ab us ke dekh mare shauq ke pani ho karchui
hue phirte ho dushman 'abru' ke ai sajan ab to
kaho ulfat dili aur dosti jaani wo kya hui
- Book : Deewan-e-Aabro (Pg. 282)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.