mohabbat tishnagi bhi hai nasha bhi
mohabbat tishnagī bhī hai nasha bhī
sanam patthar bhī hai aur hai ḳhudā bhī
faqat in.aam hī dete rahe ho
kisī ġhalatī pe do mujh ko sazā bhī
mire ḳhvāboñ meñ hai hamrāh lekin
dikhātā hai mujhe vo aa.ina bhī
maiñ ik sahrā huuñ jis kī had nahīñ hai
mire andar bhaTaktā hai ḳhudā bhī
taḳhayyul meñ bas ik hī ḳhvāb ko rakh
vahī degā tujhe terā pata bhī
bulā.egā mujhe jab merā āshiq
to bhar jā.egā andar kā ḳhalā bhī
judā jo mujh ko mujh se kar rahā hai
ḳhudā kar le qubūl us kī duā bhī
tire dīdār kā tālib huuñ 'zāhid'
magar marġhūb hai mujh ko anā bhī
mohabbat tishnagi bhi hai nasha bhi
sanam patthar bhi hai aur hai KHuda bhi
faqat inam hi dete rahe ho
kisi ghalati pe do mujh ko saza bhi
mere KHwabon mein hai hamrah lekin
dikhata hai mujhe wo aaina bhi
main ek sahra hun jis ki had nahin hai
mere andar bhaTakta hai KHuda bhi
taKHayyul mein bas ek hi KHwab ko rakh
wahi dega tujhe tera pata bhi
bulaega mujhe jab mera aashiq
to bhar jaega andar ka KHala bhi
juda jo mujh ko mujh se kar raha hai
KHuda kar le qubul us ki dua bhi
tere didar ka talib hun 'zahid'
magar marghub hai mujh ko ana bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.