Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mohabbat umr bhar ki raegan karna nahin achchha

Ameeta Parsuram Meeta

mohabbat umr bhar ki raegan karna nahin achchha

Ameeta Parsuram Meeta

MORE BYAmeeta Parsuram Meeta

    mohabbat umr bhar rā.egāñ karnā nahīñ achchhā

    sambhal ai dil anā ko āsmāñ karnā nahīñ achchhā

    kuchh aise raaz hote haiñ bayāñ karnā nahīñ achchhā

    har ik chehre sachchā.ī ayaañ karnā nahīñ achchhā

    kisī nākām hasrat jo sulge aag siine meñ

    havā yādoñ mat denā dhyāñ karnā nahīñ achchhā

    chaman meñ huuñ to phir maiñ bhī chaman ek hissa huuñ

    taġhāful itnā mere bāġhbāñ karnā nahīñ achchhā

    hifāzat se utāro ashk-e-ġham ko dil siipī meñ

    kisī qatre ko bahr-e-be-karāñ karnā nahīñ achchhā

    ujāle nahīñ hai tīrgī bhī ziist hāsil

    ki in tārīkiyoñ ko be-zabāñ karnā nahīñ achchhā

    mohabbat umr bhar ki raegan karna nahin achchha

    sambhal ai dil ana ko aasman karna nahin achchha

    kuchh aise raaz hote hain bayan karna nahin achchha

    har ek chehre ki sachchai ayan karna nahin achchha

    kisi nakaam hasrat ki jo sulge aag sine mein

    hawa yaadon ki mat dena dhyan karna nahin achchha

    chaman mein hun to phir main bhi chaman ka ek hissa hun

    taghaful itna mere baghban karna nahin achchha

    hifazat se utaro ashk-e-gham ko dil ki sipi mein

    kisi qatre ko bahr-e-be-karan karna nahin achchha

    ujale hi nahin hai tirgi bhi zist ka hasil

    ki in tarikiyon ko be-zaban karna nahin achchha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now